
Ek din ek dagar me
Mili mai usse
Usse, jise dekh laga aisa
Saadgi ki murat saamne khada ho jaisa
Chehre par shanti aur man me thi chanchalta
Swabhav aisa mausam jo kabhi na badalta
Samajhdaari ke kisse maine the jo sune
Madadgari toh tane-bane me the bune
Himaat kabhi na batori maine
Ki uske taraf mud sakoon
Tareefon ke pul toh sab baandh jaate the
Mai kamse kam ek muskaan de sakoon
Par yaad kaha tha mujhe
Ki vah toh swarth ka arth se bhi anjaan hai
Toh dosti ka haath pehle usne badhaya
Aur maine apna sarwasva lutaya
Aaj mai koi vidvaan toh nhi
Par mitrata ka gyaan apne paas rakhti hu
Vah saath ho mere ya ho kahi door
Uski pehli baat humesha yaad rakhti hu
Ki sukh me aakar jo saath nibhaye
Bewaqt binbaat jo mujhe chidhaye
Hua kare path par toofan ya pashan
Mitr vah jo jeevan sangharsh me dhaal ban jaaye.